Sunday 2 February 2014

Nagraj Janmotsav December 01/12/2013




Mere Priyajan …

Bahut dino baad fursat ka kuchh lamha mila to aap sab ke samaksh prastut hua hoon apne Nagraj Janmotsav December 01/12/2013 ka anubhav le kar … Haan, I know kuchh jaada he late ho gaya likhne me but office ke kaam mein itna phans gaya tha ki likh he nahi pa raha tha … Khair aaj samay churaya hoon aur apne anubhav ka khatta meetha pal aap sab ke saath share kar raha hoon …

Har saal ki tarah is saal (matlab ki pichhle saal ) bhi main kaafi jyaada excited tha Nagraj Janmotsav me Delhi jaane ke liye … Is baar Nagraj Janmotsav do din hona tay hua tha Saturday 30/11/2013 & Sunday 01/12/2013 ko … Saturday ko Dhruva ka janmotsav manaya jaana tha … Main Saturday ko Delhi nahi ja paya coz of an important meeting in office … Reservation ek mahina pehle se kara rakkha tha but last time mein ek important meeting ki wajah se Saturday ka train cancel karna pada … Ek baargi laga ki nahi jaa paaunga Nagraj Janmotsav me but mere kuchh aham mitr hai jinki wajah se mujhe jaana he pada (warna bhayank bawaal hona nishchit tha ) …

To 30/11/2013 ko Gorakhdham ka waiting ticket karaya aur chadh gaya train ke ek boggy me … Train me bheed to zabardast thi kyunki agle he din Sunday 01/12/2013 ko Ssc ka aur koi aur ek exam hone wala tha … Train me khadey hone ka jagah nahi tha, phir bhi apni will power ko majboot kar ke ek jagah khara hua … Zabardast bheed ufffff … Raat ko ek bajey jab train Kanpur pahuchi to ek chhoti si jagah mili baithne ke liye … Marta kya na karta … Jaise taise baithe baithe, beech beech me jhapki bhi liya aur phir subah huyi … Train 7:45am pe Delhi station pahuchi … Mere Mithilesh Daa, Pawan bhai aur mera laadla Sher Utkarsh subah 6 baje se mere aane ka intezar kar rahe the …

Station pe utra aur Daa aur Pawan bhai ko phone ghumaya … Unhone aise pretend kiya ki they were not at the station, but achank se mere ko koi peechhe se jakda and that was Mithilesh Daa hey hey hey … Pawan bhai, Sher bhi mujhe pakad liye hey hey hey (koi to chhura do ) … Main kahi sapna to nahi dekh raha hoon, ye sochte huye teeno ka cheeks pull kiya LOL … Phir apan log station se baahar aaye aur photo session chaalu (Hey Hey Hey photo session aaj kal mere life ka ek important part hai ) …

Phir hum teeno auto riksha pakad ke Hotel gaye … Pawan, Daa aur Sher ek din pehle 30/11/2013 ko he aa gaye the Nagraj Janmotsav ke liye to mere hotel ka room booked tha … Is baar Mithilesh daa ki friend bhi aayi thi, unse bhi milne ka excitement tha … Hotel pahucha then unse mila (So sweet hey hey hey ) … Then fresh wresh ho kar hum sab Delhi Haat Pitampura ke liye nikal padey … Mere do aur bachpan ke friend Nitin Srivastava aur Shiva Shukla (they reside in Delhi only) bhi hum logo ke saath ho liye …

Hum log 11am pe Delhi Haat Pitampura pahuche … Entry ke liye ticket kataya and Nagraj Janmotsav me in Yipppppiiiii …. Sabse pehle mujhe Ravi Sirjee ke darshan ka subhagya prapt hua … Wo 30/11/2013 ko the wahan but aaj unko kisi zaroori kaam se jaana pad gaya buhuhuhuhu phooti kismet meri :’( … Khair wo apne kabutar yaani ki mujhse mil ke Nagraj Janmotsav se nikal liye … Shiva Ji Aryan Aryansreshth bhi 30/11/2013 ko he aa ke waapas nikal liye … Very bad, mere se aap bina miley kaise chaley gaye :’( … I missed you lot there Aryansresth … Buhuhuhuhuhuhuhu ...

Pehla he ek comics ka stall laga tha, waha gaya to pata chala ki ye hum sabke respected Fenil Sherdiwala Sir hai … Unki publication ki comics aati hai Fenil Comics Comics … Mithilesh Daa ne “Fenil Comics” ka chaska mere ko lagaya hai … Wow !! … Fenil Sir itna down to the earth hai ki I can’t describe … Bahut he achchha laga unse milke, unko jaan ke … Really a genuine person …

Phir bheed bhaar me bahut se jaane anjaane chehre dekhne ko mil rahe the … Superb environment Nagraj Janmotsav ka … Bas ab hum logo ka photo session start hua … Bahut achchha lag raha tha waha ka maahaul, hum logo ne khoob masti kiya … Sanjay Daa, Anupam Sinha Sir, Manish Gupta Sir etc etc se bhi mila … Bahut he humble nature ke hai sab ke sab … Sanjay Daa ne mere ko galey bhi lagaya … Great personality … Bahut saare stage program ho raha tha, we were enjoying all … Just mind blowing Nagraj Janmotsav …

Meri mulaqat Mehfooz Ali jee se huyi, kaafi baatein huyi unse, bahut he behtareen insaan hai … Mehfooz jee k saath maine ek quality samay spent kiya Nagraj Janmotsav me ... Ye mere saamne aaye aur mujhe mere naam se sambodhit kiya ... Main inhe pehchaan he nahi paaya, inka photos dekha hoon & inse phone pe baat bhi kiya hoon but us waqt pehchanne mein thoda confused hua tha ... Khair, inhone apna introduction diya then jaa k pehchana ... Kamaal hai, main he kisi ko nahi pehchan pata hoon sab mere ko pehchan jaate hai ... Mehfooj bhaijee ek gentleman insaan hai ... Comics ke prati inke lagaaw ko mera dil se salaam _/\_ …

Prahalad jee se mila … Comics ke encyclopedia hai ye … Wo kuchh gussa gussa the is baar hum sab se hum sab se Yaha kaaran likhna uchit na hoga … Jaanne waale jaante hai … Abhi unki ID deactivate chal rahi hai ...

Heera Lal jee ko kaise bhool sakta hoon, unse mulaqat huyi … Bahut achchha laga unse mil ke … Mera Nagraj Janmotsav jana safal ho gaya ... Raj Comics ne behtareen comicses k saath saath behtareen mitr bhi diye hai mujhe ...

Kuchh pal Adil bhai ka bhi saath mila … Bahut achchha laga milke ... Adil bhai thank you for being my a world class friend … Manoj Pandey Sir se bhi mulaqat huyi aur Abhishek Singh jee se bhi ...

Mukesh Sir se mila, bahut he down to the earth, saral aur hasmukh pravitti ke ek nek dil insaan … Mukesh Sir sabke chahete hai, har koi inko ghere huye the, but jitna ho sakey main inke saath ek quality time spent kiya … Is varsh bhi inse phir se milne ki zabardast ichchha hai ...

Then Mohit Sir se mila … Mohit Sir _/\_ se milne ki bahut ichchha thi ... Inke likhne ka andaaz aur shabdo pe inki pakad gazab hai ... Mohit Sir ek multitalented aur ek nek dil ke insaan hai ... Kisi ke liye ho na ho but Sir mere liye ye ek bahut badi shakshiyat hai ... Akhirkar Nagraj Janmotsav mein mujhe inse milne ka saubhagya mila ... Mohit Sir ki kavita "Kyun Pheka Koodey Par", "Comics Fest" ke poorey samaa ko baandh diya tha ...

Nagraj Janmotsav me meri mulaqat Anand Bhashkar se huyi ... This credit goes to Utkarsh Sher ... Nagraj Janmotsav ke agle din (02/12/2013) hum kuchh log saath me Delhi k khaas places ghoomne nikle ... Anand bhayi bhi saath the ... Hum sab bahut jagah goome masti kiye ... Anand ko aur kareeb se jaanne ka mauka mila ... Kind hearted & nice boy ... Inki drawing bhi achchhi hai ... Ye thoda aur mehnat karey to Anand ek achchha chitrakaar banke ubhrenge ... Aaj Anand bhayi ka janamdin hai, aur main inko dher saari shubhkamnaye deta hoon aur duaaye ki ye apne jeevan me bahut unnati karey _/\_ …

Monday (02/12/2013) ko sabse miltey julte masti & Delhi ghoomte ghoomte aur shopping karte karte kab sham ho gayi, pata he nahi chala … Phir train ka time ho gaya aur hum sab apne apne sheher ke liye rawana ho gaye … Aankhe namm thi coz sab se bichhad raha tha but ek ummeed thi ki 2014 me phir hum log ek saath honge aur is baar aur jaada masti hoga … I missed Deven Pandey Jee & Nitin Sir lot there :’( Nitin Sir aate aate nahi aaye :’( …

Mujhe Rahul R. Sharma, Abhishek Singh, Ravendra Singh jee, Pranav Shashank, Shekhar Anand jee, Aman Kumaran Kumar, Youdhveer Singh, Harish Atharv Thakur Sir, Vassa Vassa Boss, Ajay Thapa, नलिनाक्ष ईशू, Rajiv Roy Jee, Suyash Jaiswal, Deepak Pooniya, Deepak Kumar Joshi Sir, Mrinal Anand, Siddharth jee, Pawan Namdev Jee, Ankur Singh jee aur Shalu Gupta Jee se milna hai … I hope is baar mil sakoon aur kuchh quality lamhe in sabke saath bita saku …

Shesh, yahi rukta hoon _/\_ …

Aapka Abhinav ...
feeling awesome

 https://www.facebook.com/photo.php?fbid=580472625376425&id=100002410783867&set=a.105130262910666.11004.100002410783867&refid=48